Chand ubharti hui shayari sunkar,
Puch hi baithe dost ye aakar.
Puch hi baithe dost ye aakar.
Kahan chupaye the in dard ke fasano ko,
Yeh sahitya-fun ke mahakte hua khazane ko.
Dabi zuban se phir yeh kaha unse,
Yeh zakhmi dil to tohfe hain apno ke.
Mere khayalon pe chand ek pehra hai,
Ye dil ke daag bahut ajimo gehre hai.
Mein likh nahi sakta , suna nahi sakta,
Soye murdon ko utha utha nahi sakta.
Mere hi jaise hain duniya mein anginat insan,
jo apne hi sath le jayenge dil ke armaan.
Unke khayalon par bhi pehre hai,
Shayad unke daag mujhse gehare hai.