Woh To Apne Dard Ro-Ro Ke Sunate Rahe Humari Tanhayion Se Ankh Churate Rahe Aur Hume Bewafa Ka Naam Mila, Kyunki Hum Har Dard Muskura Kar Chipate Rahe…
Jaane kyu log hame aajmate hai Kuch pal sath rahne ke baad dur chale jate hai Sach hi kahte hai log ki sagar ke milne ke baad Log barish ko bhul jate hai…
Aansuon ko palkon pe laaya na kijiye. Dil ki baatein har kisi ko bataya na kijiye… Log mutthi mein namak liye firte hain.. Apne har jakhm dikhaya na kijiye…
Pathar ki hai duniya Jajbaat nahi samajti, Dikl me kya hai vo baat nahi samajti Tanha to Chand bhi hai sitaron ke beech, par chand ka dard vo raat nahi samajti…
Agar Bhigne ka itna hi shoq hai baarish me To Dekho na meri aankhon me Baarish to har ek ke liye hoti hai Lekin ye aankhein sirf tumhare liye barasti hain…
Jane kya soch ke lehrein sahil se takrati hain Aur phir se laut jati hain.. Samaj nahi ata ke woh kinaro se bewafai karti hain Ya phir laut ke samandar se wafa nibhati hain…